Hafeez Jaunpuri

chaak-e-daman na raha chaak-e-gareban na raha

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
chāk-e-dāmāñ na rahā chāk-e-garebāñ na rahā
phir bhī poshīda mirā hāl-e-pareshāñ na rahā
bazm-e-dushman na kabhī darham-o-barham dekhī
kyā tirā daur vo ai gardish-e-daurāñ na rahā
mujh ko afsos ki vo aur adū ke bas meñ
us ko ye ġham ki mirā ab koī pursāñ na rahā
ham ne jo baat kahī thī vahī āḳhir ko huī
tum ne jo raaz chhupāyā thā vo pinhāñ na rahā
munfa.il tark-e-vafā ne mujhe barsoñ rakkhā
chaar din apne kiye par vo pashemāñ na rahā
un kī shoḳhī bhī huī hai mirī vahshat kā javāb
haath Daalā jo garebāñ meñ garebāñ na rahā
ban ga.ī daaġh kaleje kā tamannā-e-visāl
dāġh-e-hasrat ke sivā ab koī armāñ na rahā
ḳhair sab qaul-o-qasam jhuuT sahī ḳhush rahiye
ab mire aap ke vo ahd vo paimāñ na rahā
rokne ko mujhe ġhairat ke sivā is dar par
koī darbāñ na rahā koī nigahbāñ na rahā
miT gayā shaġhl-e-junūñ ab vo kahāñ jāma-darī
zor vahshat kā bhī ab dast-o-garebāñ na rahā
chaar jhiḌkī meñ tire dar se alag ho baiThā
ġhair kuchh roz bhī minnat-kash-e-darbāñ na rahā
vaqt ko haath se kho kar koī duniyā meñ 'hafīz'
umr-bhar merī tarah sar-ba-garebāñ na rahā
Top Urdushayar.com