idhar hote hote udhar hote hote
huī dil kī dil ko ḳhabar hote hote
baḌhī chaah donoñ taraf baḌhte baḌhte
mohabbat huī is qadar hote hote
tirā rāsta shaam se takte takte
mirī aas TuuTī sahar hote hote
kiye jā abhī mashq-e-fariyād-e-bulbul
ki hotā hai paidā asar hote hote
na sambhlā mohabbat kā bīmār āḳhir
ga.ī jaan dard-e-jigar hote hote
sar-e-shām hī jab hai ye dil kī hālat
to kyā kyā na hogā sahar hote hote
zamāne meñ un ke suḳhan kā hai shohra
'hafīz' ab hue nāmvar hote hote