isī ḳhayāl se tark un kī chaah kar na sake
kaheñge log ki do din nibāh kar na sake
hameñ jo dekh liyā jhuk ga.ī hayā se aañkh
idhar-udhar sar-e-mahfil nigāh kar na sake
ḳhudā ke sāmne aayā kuchh is adā se vo shoḳh
ki muñh se uf bhī zarā dād-ḳhvāh kar na sake
tire karam kā bharosā hī zāhidoñ ko nahīñ
isī liye to ye khul kar nigāh kar na sake
rahā ye paas hameñ aap kī nazākat kā
ki dil kā ḳhuun huā muñh se aah kar na sake
tumheñ 'hafīz' se nafrat hai to ye fikr hai kyuuñ
kisī hasīn se vo rasm-o-rāh kar na sake