adā pariyoñ kī sūrat huur kī āñkheñ ġhazāloñ kī
ġharaz māñge kī har ik chiiz hai in husn vāloñ kī
bajā.e-raqs mai-ḳhāne meñ hai gardish pyāloñ kī
takalluf-bar-taraf ye bazm hai allāh vāloñ kī
nishāñ jab miT gayā turbat kā aa.e fātiha paḌhne
unheñ kab yaad aa.ī haiñ vafā.eñ marne vāloñ kī
huā do gaz kafan mun.im ko hāsil māl-e-duniyā se
bañdhī rakkhī hī āḳhir rah ga.ī gaThrī doshāloñ kī
dukhā kar dil mirā phir aap hī uzr-e-jafā karnā
are kāfir tirī ik chaal hai ye laakh chāloñ kī
abhī tum ko bahut kuchh naaz hai tirchhī nigāhoñ par
magar dekhī nahīñ tāsīr tum ne mere nāloñ kī
tire hote hue ye baat ġhairat kī hai o zālim
uḌaa.e āsmāñ yuuñ ḳhaak terī pā.emāloñ kī
bhale haiñ yā bure jo kuchh haiñ bande to ḳhudā ke haiñ
nadāmat is qadar vaa.iz na kar mai-ḳhāne vāloñ kī
huī bauchhār mujh par shikva-e-bejā kī phir kyā kyā
jahāñ chheḌā unheñ bas khul ga.ī gaThrī malāloñ kī
gunahgār-e-mohabbat haiñ jidhar guzreñge mahshar meñ
hamāre saath saath ik bhiiḌ hogī ḳhush-jamāloñ kī
farishtoñ se 'hafīz' ik din lahad meñ guftugū hogī
abhī se fikr lāzim hai tumheñ un ke savāloñ kī