koī jahāñ meñ na yārab ho mubtalā-e-firāq
kisī kī jaan kī dushman na ho balā-e-firāq
hazār tarah ke sadme ise gavārā haiñ
magar uThā nahīñ saktā hai dil jā-e-firāq
laboñ pe jaan hai ab sadma-hā-e-dūrī se
ḳhabar visāl kī detī hai ibtidā-e-firāq
zabān band hai ye josh-e-ġham kā aalam hai
bayān ho nahīñ saktā hai mājrā-e-firāq
kareñ jo zabt kalejā sarāhiye un kā
ki āsmāñ ko bulāte haiñ nāla-hā-e-firāq
judā 'hafīz' huā kaun tere pahlū se
laboñ par āTh-pahr hai jo haa.e haa.e firāq