Hafeez Jaunpuri

diwane hue sahra mein phire ye haal tumhaare gham ne kiya

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
dīvāne hue sahrā meñ phire ye haal tumhāre ġham ne kiyā
afsos magar is baat kā hai kyā tum ne kiyā kyā ham ne kiyā
jab bhaḌkī hai ātish-e-dāġh-e-jigar sard us ko dīda-e-nam ne kiyā
shādāb chaman meñ phūloñ ko har shām-o-sahar shabnam ne kiyā
achchhī huī ab ki barī ye huī in bātoñ ko ḳhud hī samjho
ilzām hameñ kyā dete ho jo tum ne kahā vo ham ne kiyā
tārīk huī saarī duniyā kyā maut huī mujh bekas kī
kam aise hue haiñ shahīd-e-vafā ġham jin kā ik aalam ne kiyā
qismat kī tarah ye dil na phirā ka.abe se bhī ulTe paañv phire
āñkhoñ meñ galī vo phirne lagī be-ḳhud ye tavāf haram ne kiyā
kyā aisī vafā par naaz karūñ jo baa.is ho rusvā.ī kī
ye baat huī mar jaane kī bad-nām kisī ko sitam ne kiyā
ġhurbat meñ tumhārī turbat par rone ko 'hafīz' aatā koī
ab shukr karo aañsū to puchhe chhiḌkāv bhī abr-e-karam ne kiyā
Top Urdushayar.com