Hafeez Jaunpuri

shab-e-wasl hai bahs hujjat abas

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
shab-e-vasl hai bahs hujjat abas
ye shikve abas ye shikāyat abas
huā un ko kab e'timād-e-vafā
jatāte rahe ham mohabbat abas
yahāñ ab to kuchh aur sāmān hai
vo aate haiñ bahr-ayādat abas
nasīboñ se apne hai shikva hameñ
kareñ kyuuñ kisī kī shikāyat abas
mirā haal sun kar vo haiñ be-qarār
kiyā kis ne zikr-e-mohabbat abas
falak mar-miToñ se na rakh ye ġhubār
miTā be-kasoñ kī na turbat abas
sunūñgā tirī hosh meñ aa to luuñ
abhī se hai nāseh nasīhat abas
ye parda hasīnoñ ko lāzim na thā
chhupātī haiñ ye achchhī sūrat abas
vo pahle sulūk aap ke yaad haiñ
mire haal par ab ināyat abas
takalluf meñ phir vo kahāñ sādgī
ye ārā.ish-e-husn-o-zīnat abas
'hafīz' is zamīñ meñ kaho sher kam
dikhāo na zor-e-tabī.at abas
Top Urdushayar.com