Hafeez Jaunpuri

duniya mein yun to har koi apni si kar gaya

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
duniyā meñ yuuñ to har koī apnī sī kar gayā
zinda hai us kā naam kisī par jo mar gayā
sub.h-e-shab-e-visāl hai ā.īna haath meñ
sharmā ke kah rahe haiñ ki chehra utar gayā
saaqī kī baḌh chalī haiñ jo be-iltifātiyāñ
shāyad hamārī umr kā paimāna bhar gayā
itnā to jānte haiñ ki pahlū meñ dil nahīñ
us kī ḳhabar nahīñ ki kahāñ hai kidhar gayā
ham se jo aap ruuTh ke jaate haiñ jā.iye
sun lījiyegā zahr koī khā ke mar gayā
jaatā rahā shabāb to kuchh sūjhne lagī
āñkheñ khulīñ sharāb kā nashsha utar gayā
nāseh kahāñ kā chheḌ diyā tū ne aa ke zikr
us kā ḳhayāl phir mujhe bechain kar gayā
do din meñ ye mizāj kī hālat badal ga.ī
kal sar chaḌhā thā aaj nazar se utar gayā
achchhā huā jo aap ayādat ko aa ga.e
sar kā ye ek bojh thā vo bhī utar gayā
tere marīz-e-hijr kā ab to ye haal hai
aayā jo dekhne ko vo bā-chashm-e-tar gayā
chheḌā kisī ne zikr-e-mohabbat jo ai 'hafīz'
dil par ajiib tarah kā sadma guzar gayā
Top Urdushayar.com