Hafeez Jaunpuri

musibaten to uTha kar baDi baDi bhule

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
musībateñ to uThā kar baḌī baḌī bhūle
magar firāq kī iizā na ik ghaḌī bhūle
na hogī us lab-e-rañgīñ kī āb-o-tāb nasīb
na apne rañg pe phūloñ kī pañkhuḌī bhūle
kisī ne pyaar se bāheñ gale meñ Daal jo diiñ
tamām hijr ke sadme ham us ghaḌī bhūle
abhī vo yaad haiñ sāmāñ hameñ asīrī ke
abhī na tauq na beḌī na hathkaḌī bhūle
tumheñ jo dekh liyā ġham ġhalat huā apnā
tumheñ jo pā ga.e sab rañj us ghaḌī bhūle
burī balā hai ye chashm-e-siyāh kī gardish
use jo dekh le aahū to chaukḌī bhūle
girī thī shaiḳh kī tasbīh mai-kade meñ raat
ḳhabar nahīñ ki kahāñ nashshe meñ chhaḌī bhūle
'hafīz' vo dam-e-ruḳhsat ye kahte jaate haiñ
ki merī yaad na dil se koī ghaḌī bhūle
Top Urdushayar.com