Hafeez Jaunpuri

mohabbat kya baDhi hai wahm baham baDhte jate hain

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
mohabbat kyā baḌhī hai vahm bāham baḌhte jaate haiñ
ham un ko āzmāte haiñ vo ham ko āzmāte haiñ
na ghaTtī shān-e-māshūqī jo aa jaate ayādat ko
bure vaqtoñ meñ achchhe log aksar kaam aate haiñ
jo ham kahte nahīñ muñh se to ye apnī muravvat hai
churānā dil kā zāhir hai ki vo āñkheñ churāte haiñ
samāñ us bazm kā barsoñ hī guzrā hai nigāhoñ se
kab aise-vaise jalse apnī āñkhoñ meñ samāte haiñ
kahāñ tak imtihāñ kab tak mohabbat āzmāoge
unhīñ bātoñ se dil ahl-e-vafā ke chhūT jaate haiñ
ḳhumār āñkhoñ meñ baaqī hai abhī tak bazm-e-dushman kā
tasadduq us DhiTā.ī ke nazar ham se milāte haiñ
dil ik jins-e-girāñ-māya hai lekin aañkh vāloñ meñ
ye dekheñ husn vaale is kī qīmat kyā lagāte haiñ
kisī ke sar kī aafat ho hamāre sar hī aatī hai
kisī kā dil koī taake magar ham choT khāte haiñ
ga.e vo din ki naame chaak hote the 'hafīz' apne
hasīn ab to mirī tahrīr āñkhoñ se lagāte haiñ
Top Urdushayar.com