Hafeez Jaunpuri

shab-e-visal lagaya jo un ko sine se

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
shab-e-visāl lagāyā jo un ko siine se
to hañs ke bole alag baiThiye qarīne se
savāb ho ki na ho is se kyā ġharaz zāhid
maza milā mujhe tujh ko pilā ke piine se
shab-e-firāq ye ehsān hai tasavvur kā
ki so rahā huuñ lagā kar kisī ko siine se
falak miTā.egā mujh ko jo tum mukaddar ho
adāvat us kī baḌhegī tumhāre kiine se
ġham-e-firāq meñ kyā lutf-e-zindagī hai 'hafīz'
hameñ to maut hī behtar hai aise jiine se
Top Urdushayar.com