mire nasīb ne jab mujh se intiqām liyā
kahāñ kahāñ tirī yādoñ ne haath thaam liyā
fazā kī aañkh bhar aa.ī havā kā rañg uḌā
sukūt-e-shām ne chupke se terā naam liyā
vo maiñ nahīñ thā ki ik harf bhī na kah paayā
vo bebasī thī ki jis ne tirā salām liyā
har ik ḳhushī ne tire ġham kī aabrū rakh lī
har ik ḳhushī se tire ġham ne intiqām liyā
vo ma.arka thā ki fat.h o shikast bhī na milī
na jaane 'shāz' ne kis maslahat se kaam liyā