Hafeez Jaunpuri

hae ab kaun lagi dil ki bujhane aae

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
haa.e ab kaun lagī dil kī bujhāne aa.e
jin se ummīd thī aur aag lagāne aa.e
dard-mandoñ kī yuuñ hī karte haiñ hamdardī log
ḳhuub hañs hañs ke hameñ aap rulāne aa.e
ḳhat meñ likhte haiñ ki fursat nahīñ aane kī hameñ
is kā matlab to ye hai koī manāne aa.e
aañkh nīchī na huī bazm-e-adū meñ jā kar
ye DhiTā.ī ki nazar ham se milāne aa.e
ta.ane be-sabr yuuñ ke haa.e tashaffī ke evaz
aur dikhte hue dil ko vo dukhāne aa.e
aur to sab ke liye hai terī mahfil meñ jagah
ham jo baiTheñ abhī darbān uThāne aa.e
chuTkiyāñ lene ko pahlū meñ rahā ek na ek
tū nahīñ to tere armān satāne aa.e
bekasī kā to jalā dil mirī turbat pe 'hafīz'
kyā huā vo na agar sham.a jalāne aa.e
Top Urdushayar.com