Hafeez Jaunpuri

pi humne bahut sharab tauba

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
pī ham ne bahut sharāb tauba
ai garmī-e-āftāb tauba
aalam kā ye inqalāb tauba
zarre hue āftāb tauba
jis vaqt tasalliyāñ koī de
us vaqt kā iztirāb tauba
āñkheñ jinheñ dekh kar hoñ bīmār
vo nargis-e-nīm-ḳhvāb tauba
kyā mastāna har adā hai
kis josh pe hai shabāb tauba
kar dūñgā hazār maiñ unheñ band
bātoñ kā mirī javāb tauba
har roz hī ik nayā sitam hai
har vaqt hai ik itaab tauba
saaqī tire daur meñ kisī kī
hotī bhī hai mustajāb tauba
āñkheñ shab-e-vasl bhī jhukī haiñ
ḳhalvat meñ bhī ye hijāb tauba
kartā hai sharāb mohtasib band
ye bhī hai koī savāb tauba
piirī meñ 'hafīz' mai-parastī
ab kījiye ai janāb tauba
Top Urdushayar.com