na aa jaa.e kisī par dil kisī kā
na ho yārab koī maa.il kisī kā
lagā ik haath bhī kyā dekhtā hai
kahīñ karte haiñ Dar qātil kisī kā
adā se us ne do bāteñ banā kar
kisī kī jaan le lī dil kisī kā
uThā jab dard-e-pahlū dil pukārā
nahīñ koī dam-e-mushkil kisī kā
abhī jiinā paḌā kuchh din hameñ aur
Talā phir vāda-e-bātil kisī kā
bahut āhista chilman ko uThānā
mileñ āñkheñ ki baiThā dil kisī kā
'hafīz' is tarah bharte ho jo aaheñ
dukhāoge magar tum dil kisī kā