Hafeez Jaunpuri

KHud-ba-KHud aankh badal kar ye sawal achchha hai

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
ḳhud-ba-ḳhud aañkh badal kar ye savāl achchhā hai
roz kab tak koī pūchhā kare haal achchhā hai
hijr meñ aish-e-guzishta kā ḳhayāl achchhā hai
ho jhalak jis meñ ḳhushī kī vo ma.aal achchhā hai
daaġh behtar hai vahī ho jo dil-e-āshiq meñ
jaur hai āriz-e-ḳhūbāñ pe vo ḳhaal achchhā hai
dekh un ḳhaak ke putloñ kī adā.eñ zāhid
un se kis baat meñ hūroñ kā jamāl achchhā hai
kījiye aur bhī shikve ki miTe dil kā ġhubār
bātoñ bātoñ meñ nikal jaa.e malāl achchhā hai
tandurustī se to behtar thī mirī bīmārī
vo kabhī pūchh to lete the ki haal achchhā hai
jo nigāhoñ meñ samā jaa.e vo sūrat achchhī
jo ḳharīdār ko jach jaa.e vo maal achchhā hai
chāragar ko mire ye bhī nahīñ tam.īz abhī
kaun sā haal burā kaun sā haal achchhā hai
de ḳhudā zar to koī mai-kada ābād kareñ
achchhe kāmoñ meñ jo ho sarf vo maal achchhā hai
hañs ke kahte haiñ kabhī haath se uḌne kā nahīñ
tā.ir-e-rañg-e-hinā be-par-o-bāl achchhā hai
jo na nikle kabhī dil se vo tamannā achchhī
jo na aa.e kabhī lab tak vo savāl achchhā hai
hasrat aatī hai hameñ haal par apne kyā kyā
sunte haiñ jab kisī bīmār kā haal achchhā hai
huur ke zikr par ā.īna uThā kar dekhā
us se īmāñ hai ki merā hī jamāl achchhā hai
aarzū merī na puurī ho koī baat hai ye
kaash itnā vo samajh leñ ki savāl achchhā hai
muft miltā hai ḳharābāt meñ har mai-kash ko
Tharrā piine ke liye jām-e-sifāl achchhā hai
saiñkaḌoñ barq-jamāloñ kā guzar hotā hai
tūr-e-sīnā se mirā bām-e-ḳhayāl achchhā hai
huuñ gadā-e-dar-e-mai-ḳhāna takalluf se barī
TūTā-phūTā ye merā jām-e-sifāl achchhā hai
haal sunte nahīñ be-ḳhud haiñ ye masjid vaale
un se kuchh mai-kade vāloñ hī kā haal achchhā hai
daf.atan tark-e-mohabbat meñ zarar hai jī kā
rafta rafta jo miTe dil se ḳhayāl achchhā hai
ab ke har shahr meñ phailā hai jo tā.ūn 'hafīz'
marne vāloñ ko ḳhushī hai ki ye saal achchhā hai
Top Urdushayar.com