'hafīz' vasl meñ kuchh hijr kā ḳhayāl na thā
vafūr-e-aish meñ andesha-e-ma.āl na thā
burā hī kyā hai baratnā purānī rasmoñ kā
kabhī sharāb kā piinā bhī kyā halāl na thā
nayā hai ab ke baras kuchh bahār kā aalam
junūñ kā zor to aisā guzishta-sāl na thā
ḳhayāl tum ne dilāyā jo guzrī bātoñ kā
malāl ab vo huā pahle jo malāl na thā
vo din haiñ yaad ki barsoñ thī ḳhud-farāmoshī
ye dhun kisī kī thī apnā bhī kuchh ḳhayāl na thā
tum aa ga.e ki mirī jaan bach ga.ī varna
kuchh aaj maut ke aane meñ ehtimāl na thā
koī to vaj.h-e-masarrat hai go kaheñ na kaheñ
ki yuuñ 'hafīz' kā chehra kabhī bahāl na thā