Hafeez Jaunpuri

qasid KHilaf-e-KHat kahin tera bayan na ho

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
qāsid ḳhilāf-e-ḳhat kahīñ terā bayāñ na ho
karnā sambhal ke baat ki vo bad-gumāñ na ho
nāloñ kā mere āTh-pahr imtihāñ na ho
Darte nahīñ ki ek zamīñ āsmāñ na ho
tohmat ho bhūl-chūk kī paiġhāmbar ke sar
shikvoñ kā lutf kyā jo koī darmiyāñ na ho
nāloñ se laḌ rahī hai sadā-e-jaras jo aaj
gum-karda-rāh koī pas-e-kārvāñ na ho
sau sun ke ek bhī na kaheñ ham bajā durust
us se ye kahiye aa.e ki jis ke zabāñ na ho
ab tak vo yaad haiñ mirī aglī ināyateñ
bas bas hamāre haal pe tū mehrbāñ na ho
chhūTī tirī galī to ye mujh ko yaqīñ huā
jannat hai vo jahāñ sitam-e-āsmāñ na ho
karte haiñ ek ek se merī shikāyateñ
sirf is ḳhayāl se ki koī bad-gumāñ na ho
ye kyā ki sar chaḌhā ke nazar se girā diyā
ab mehrbāñ hue ho to nā-mehrbāñ na ho
dil ko kahāñ hai sadma-e-rashk-e-adū kī taab
sau imtihāñ haiñ aur ye ik imtihāñ na ho
marnā phaḌak phaḌak ke gavārā sahī magar
itnā to ho qafas meñ ġham-e-āshiyāñ na ho
ka.abe meñ but-kade meñ ḳharābāt meñ rahe
insāñ vo hai kahīñ jo kisī par garāñ na ho
apnī bhī sar-guzasht hai ik-tarfa dāstāñ
barsoñ suno to nisf ye qissa bayāñ na ho
dil se hai dil ko raah ye sach hai agar 'hafīz'
mumkin nahīñ ḳhayāl yahāñ ho vahāñ na ho
Top Urdushayar.com