Hafeez Jaunpuri

afsurdagi-e-dil se ye rang hai suKHan mein

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
afsurdagi-e-dil se ye rañg hai suḳhan meñ
ya.anī ḳhizāñ-rasīda kuchh phuul haiñ chaman meñ
ġhurbat meñ bhī rahe ham yāroñ kī anjuman meñ
yād-e-vatan ne rakkhā aksar hameñ vatan meñ
kyā saañs kā bharosā phir aa.e yā na aa.e
kab tak jalegī āḳhir ye sham.a anjuman meñ
lākhoñ meñ ek niklī vaz-e-junūñ bhī apnī
ab bhī rahe na dab kar ham un se bāñkpan meñ
kyā jaane kyā vahāñ se laayā ḳhushī kā muzhda
phūlā nahīñ samātā qāsid jo pairahan meñ
jo chāhte haiñ rāhat likkheñ vo hāl-e-ġhurbat
ham nañg jānte haiñ ḳhat bhejnā vatan meñ
shāyad kuchh amn paañv hāthoñ se āsmāñ ke
ḳhaak us galī kī le kar malnā mire kafan meñ
go pīr-zan hai muḳhbir baa.is to hai ye āḳhir
ālūda dast-e-shīrīñ hai ḳhūn-e-kohkan meñ
ham mai-kashoñ ko pī kar ye infi.āl aayā
ra.asha paḌā huā hai ek ek uzv-e-tan meñ
ḳhāna-ḳharābī apnī yaad aa.ī jī bhar aayā
ujḌā huā jo dekhā ik āshiyāñ chaman meñ
vaa.iz tirī zabāñ se ġhībat butoñ kī sun kar
masjid se uTh ke pahuñche ham dair-e-barahman meñ
vo dil meñ aur dil hai sau hasratoñ kā maskan
ḳhalvat meñ anjuman hai ḳhalvat hai anjuman meñ
shā.er 'hafīz' tum se kāmil bahut haiñ lekin
kahte haiñ dard aisā paidā kahāñ suḳhan meñ
Top Urdushayar.com