Hafeez Jaunpuri

shikwa karte hain zaban se na gila karte hain

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
shikva karte haiñ zabāñ se na gilā karte haiñ
tum salāmat raho ham to ye duā karte haiñ
phir mire dil ke phañsāne kī huī hai tadbīr
phir na.e sar se vo paimān-e-vafā karte haiñ
tum mujhe haath uThā kar is adā se koso
dekhne vaale ye samjheñ ki duā karte haiñ
in hasīnoñ kā hai duniyā se nirālā andāz
shoḳhiyāñ bazm meñ ḳhalvat meñ hayā karte haiñ
hashr kā zikr na kar us kī galī meñ vaa.iz
aise hañgāme yahāñ roz huā karte haiñ
laag hai ham se adū ko to adū se hameñ rashk
ek hī aag meñ ham donoñ jalā karte haiñ
un kā shikva na raqīboñ kī shikāyat hai 'hafīz'
sirf ham apne muqaddar kā gilā karte haiñ
Top Urdushayar.com