yuuñ to hasīn akasr hote haiñ shaan vaale
lekin kuchh aur hai tū o ān-bān vaale
nāqūs-e-dair phūñkūñ ka.abe meñ yā azaan duuñ
tujh ko kahāñ pukārūñ o lā-makān vaale
mimbar pe baiTh kar tū itnā bahak na vaa.iz
kaisī ye nīchī bāteñ ūñchī dukān vaale
ye husn ye javānī mehmāñ hai chand roza
is par na kar ye ġhurra o ān-bān vaale
ka.abe ko shaiḳh jaa.e but-ḳhāne ko barahman
yūñhī DaTe raheñge us āstān vaale
abrū pe Daal kar bal tirchhī nazar na kar tū
ye tiir kaj paḌegā bāñkī kamān vaale
ġhairoñ pe to nazar hai merī bhī kuchh ḳhabar hai
maiñ bhī miTā huā huuñ o ān-bān vaale
talvār khīñch kar kyā baazū ko dekhtā hai
do haath bas lagā de ab imtihān vaale
qaa.el tirā jahāñ hai haañ farq darmiyāñ hai
kuchh haiñ yaqīn vaale kuchh haiñ gumān vaale
farhād qais donoñ de baiThe jaan āḳhir
marte haiñ baat hī par jitne haiñ aan vaale
vo kis liye bulā.eñ jaa.eñ 'hafīz' ham kyuuñ
vo bhī haiñ shaan vaale ham bhī haiñ aan vaale