vo ham-kanār hai jām-e-sharāb haath meñ hai
baġhal meñ chāñd hai aur āftāb haath meñ hai
pilā ke piir ko sāġhar javāñ banātā hai
maza hai pīr-e-muġhāñ ke shabāb haath meñ hai
bar aa.ī aaj mire dil kī aarzū sad shukr
ki dāman aap kā roz-e-hisāb haath meñ hai
ye aa.e kis ke qadam dast-e-mauj se dariyā
liye hue jo kulāh habāb haath meñ hai
araq visāl meñ poñchhā hai gul se gāloñ ko
yahī hai vaj.h ki bū-e-gulāb haath meñ hai
bin aa.ī hai mire dast-e-havas kī vasl kī shab
hinā lagā.e jo vo mast-e-ḳhvāb haath meñ hai
havā se tez vo aatā hai nāma-bar merā
niyāz-nāme kā mere javāb haath meñ hai
khile haiñ gul gul aariz ke vasf meñ sar-e-dast
qalam mirā hai ki shāḳh-e-gulāb haath meñ hai
'hafīz' aap kā dīvān ye huā maqbūl
ki jis ko dekho liye ye kitāb haath meñ hai