Hafeez Jaunpuri

jab tak ki tabiat se tabiat nahin milti

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
jab tak ki tabī.at se tabī.at nahīñ miltī
hoñ pyaar kī bāteñ bhī to lazzat nahīñ miltī
ārām ghaḌī-bhar kisī karvaT nahīñ miltā
rāhat kisī pahlū shab-e-furqat nahīñ miltī
jab tak vo khiñche baiThe haiñ dil un se rukā hai
jab tak nahīñ milte vo tabī.at nahīñ miltī
jiite haiñ to hotī hai un āñkhoñ se nadāmat
marte haiñ to us lab se ijāzat nahīñ miltī
us zohd par nāzāñ na ho zāhid se ye kah do
tasbīh phirāne hī se jannat nahīñ miltī
kyā DhūñDhte haiñ gor-e-ġharībāñ meñ vo aa kar
kis Kushta-e-raftār kī turbat nahīñ miltī
kis tarah mire ghar vo 'hafīz' aa.eñ ki un ko
ġhairoñ kī mudārāt se fursat nahīñ miltī
Top Urdushayar.com