Hafeez Jaunpuri

wasl aasan hai kya mushkil hai

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
vasl āsān hai kyā mushkil hai
tujh ko ye dhyān hai kyā mushkil hai
vaz.a kā dhyān hai kyā mushkil hai
dost nādān hai kyā mushkil hai
hoñT par jaan hai kyā mushkil hai
mushkil āsān hai kyā mushkil hai
haa.e dīvāna banā kar kahnā
phir bhī ik shaan hai kyā mushkil hai
ab jagah chāhiye vahshat ko mirī
tañg maidān hai kyā mushkil hai
jis ko mar miT ke miTāyā thā abhī
phir vahī dhyān hai kyā mushkil hai
be-bulā.e kahīñ jaane ke nahīñ
aa paḌī aan hai kyā mushkil hai
ham na uThte haiñ na vo dete haiñ
haath meñ paan hai kyā mushkil hai
ham ko samjhā.e samajh nāseh kī
phir ye ehsān hai kyā mushkil hai
mere bad-ahd ko allāh rakhe
maut āsān hai kyā mushkil hai
us ne rakkhā hai vo darbāñ jis se
jān-pahchān hai kyā mushkil hai
shaiḳh kartā hai butoñ kī ġhībat
phir musalmān hai kyā mushkil hai
husn par ḳhalq miTī jaatī hai
jo hai qurbān hai kyā mushkil hai
hijr meñ jaan nikaltī nahīñ aah
ye bhī armān hai kyā mushkil hai
bandagī but kī ḳhudā ke bande
kufr īmān hai kyā mushkil hai
chāragar ko hai mire fikr-e-davā
dard hī jaan hai kyā mushkil hai
bazm meñ zahr ugalne ko adū
dar pe darbān hai kyā mushkil hai
yuuñ to pahle bhī mohabbat thī 'hafīz'
ab to īmān hai kyā mushkil hai
Top Urdushayar.com