Hafeez Jaunpuri

dil par laga rahi hai wo nichi nigah choT

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
dil par lagā rahī hai vo nīchī nigāh choT
phir choT bhī vo choT jo hai be-panāh choT
phoḌā sar us ke dar se ki barse junūñ meñ sañg
mujh ko dilā rahī hai ajab ishtibāh choT
bijlī kā naam sunte hī āñkheñ jhapak ga.iiñ
rokegī merī aah kī kyā ye nigāh choT
lālach asar kā ho na kahīñ bā.is-e-zarar
Takrā ke sar falak se na khā jaa.e aah choT
muñh har dahān-e-zaḳhm kā siite haiñ is liye
matlab hai hashr meñ bhī na ho dād-ḳhvāh choT
miltī hai chup kī daad ye mash.hūr baat hai
jal jaa.e āsmāñ jo kare zabt aah choT
uThte hī dil meñ Tiis jigar meñ Tapak huī
kartī hai dard-e-hijr se goyā nibāh choT
chaukhaT pe terī shab ko paTaktā hai sar 'hafīz'
bāvar na ho to dekh jabīn hai gavāh choT
Top Urdushayar.com