Hafeez Jaunpuri

dil ko isi sabab se hai iztirab shayad

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
dil ko isī sabab se hai iztirāb shāyad
qāsid phirā hai le kar ḳhat kā javāb shāyad
āñkheñ chaḌhī huī haiñ bāteñ haiñ bahkī bahkī
aa.e ho tum kahīñ se pī kar sharāb shāyad
kyā jaane kis havā meñ itnā ubhar rahā hai
hastī nahīñ samajhtā apnī habāb shāyad
mujh par jo vo sahar se is darja mehrbāñ haiñ
shab kī duā huī hai kuchh mustajāb shāyad
bīmār huuñ bañdhī hai dhun rāt-din safar kī
ġhurbat meñ apnī miTTī hogī ḳharāb shāyad
pichhle se vasl kī shab āsār sub.h ke haiñ
niklegā raat hī se aaj āftāb shāyad
aayā bahut dinoñ par zāhid jo mai-kade meñ
bhūlī huī thī us ko rāh-e-savāb shāyad
barsāt kī kamī se kyā qadr ghaT ga.ī hai
aisī kabhī bikī ho arzāñ sharāb shāyad
apne dimāġh meñ to ab ye basī huī hai
behtar tire pasīne se ho gulāb shāyad
bazm-e-adū meñ aa kar jis tarah ham jale haiñ
dozaḳh meñ ho kisī par aisā azaab shāyad
ashkoñ se tar huī thī yuuñ raat sej un kī
yaad aa gayā thā koī hañgām-e-ḳhvāb shāyad
ai shaiḳh tū milā kar dekh un se umr apnī
hūroñ kā Dhal gayā ho ab to shabāb shāyad
tauba 'hafīz' mai kā paḌ jaa.e jis ko chaskā
phir us se marte dam tak chhūTe sharāb shāyad
Top Urdushayar.com