Shaz Tamkanat

shikan shikan teri yaaden hain mere bistar ki

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
shikan shikan tirī yādeñ haiñ mere bistar kī
ġhazal ke sher nahīñ karvaTeñ haiñ shab bhar kī
phir aa.ī raat mirī saañs ruktī jaatī hai
saraktī aatī haiñ dīvāreñ phir mire ghar kī
mujhe to karnī paḌī ābyārī-e-sahrā
magar nasīb meñ thī tishnagī samundar kī
ye jam.a o ḳharch zabānī hai naqd-e-sher-o-suḳhan
magar yahī to kamā.ī hai zindagī bhar kī
usī ne baḳhshī hai rañgīni-e-hayāt mujhe
kabhī kabhī to usī ne hayāt dūbhar kī
ridā-e-rañg se chhantā huā badan terā
ye chāñdnī ki tamāzat hai tere paikar kī
kitāb-e-husn hai tū mil khulī kitāb kī tarah
yahī kitāb to mar mar ke maiñ ne azbar kī
sanam kī aas liye nok-e-tesha botā huuñ
maiñ kab se fasl ugātā rahā huuñ patthar kī
nibāh kartā huuñ duniyā se is tarah ai 'shāz'
ki jaise dostī ho āstīn o ḳhanjar kī
Top Urdushayar.com