Hafeez Jaunpuri

bigaD jate the sun kar yaad hai kuchh wo zamana bhi

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
bigaḌ jaate the sun kar yaad hai kuchh vo zamāna bhī
koī kartā thā jab merī shikāyat ġhā.ebāna bhī
vo jis par mehrbāñ hote haiñ duniyā us kī hotī hai
nazar un kī palaTte hī palaTtā hai zamāna bhī
sunā kartā huuñ ta.ane hijr meñ kyā kyā raqīboñ ke
banā huuñ is mohabbat meñ malāmat kā nishāna bhī
yahāñ bhī farz hai zāhid adab se sar jhukā lenā
mire nazdīk ka.aba hai kisī kā āstāna bhī
fareb-e-dām meñ laa.ī hai kuchh sayyād kī ḳhātir
qafas meñ khīñch kar laayā hameñ kuchh āb-o-dāna bhī
jalā kar dil mirā sayyād kā ThanDā kaleja kar
kahīñ ai barq jaldī phūñk merā āshiyāna bhī
bigaḌte der hotī hai na bante der hotī hai
mizāj-e-yār se kuchh miltā-jultā hai zamāna bhī
hasīñ paḌh kar ġhazal merī mire mushtāq hote haiñ
musaḳhḳhar dil ko kartā hai kalām-e-āshiqāna bhī
na bhūlegī hafīz ahbāb ko ye sarguzisht apnī
jahāñ meñ yaad rah jā.egā kuchh apnā fasāna bhī
Top Urdushayar.com