aap hī se na jab rahā matlab
phir raqīboñ se mujh ko kyā matlab
aarzū mere dil kī bar aa.e
sab kā puurā kare ḳhudā matlab
kar na mujh ko subuk raqīboñ meñ
yuuñ hañsī meñ na to uḌā matlab
ruk ga.ī baat tā-zabāñ aa kar
dil kā dil hī meñ rah gayā matlab
zid hī zid shaiḳh o barhaman kī thī
varna donoñ kā ek thā matlab
merī ik baat meñ haiñ sau pahlū
aur sab kā judā judā matlab
ġhair kī aur is qadar tārīf
ham samajhte haiñ aap kā matlab
aglī bātoñ kā zikr jaane do
aaj is tazkire se kyā matlab
ḳhush ho nā-faham bhī samajh ke 'hafīz'
saaf aisā ho sher kā matlab