un ko dil de ke pashemānī hai
ye bhī ik tarah kī nādānī hai
vasl se aaj nayā hai inkār
tum ne kab baat mirī maanī hai
aap dete haiñ tasallī kis ko
ham ne ab aur hī kuchh Thānī hai
haal bin pūchhe kahe jaatā huuñ
apne matlab kī ye nādānī hai
kis qadar baar huuñ ġham-ḳhvāroñ par
kyā subuk merī girāñ-jānī hai
ghar bulā kar vo mujhe lauTte haiñ
ye na.ī tarah kī mehmānī hai
ham se vahshat kī na le o majnūñ
ham ne bhī ḳhaak bahut chhānī hai
ḳhaak uḌtī hai jidhar jaatā huuñ
kyā muqaddar kī pareshānī hai
ghar bhī vīrāna nazar aatā hai
haa.e kyā be-sar-o-sāmānī hai
aa.ī kyuuñ un kī shikāyat lab tak
ham ko ḳhud us kī pashemānī hai
kahīñ do din na rahā jam ke 'hafīz'
ek āvāra hai sailānī hai