Hafeez Jaunpuri

hum ko dikha dikha ke ghairon ke itr malna

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
ham ko dikhā dikhā ke ġhairoñ ke itr malnā
aatā hai ḳhuub tum ko chhātī pe muuñg dalnā
mahshar bapā kiyā hai raftār ne tumhārī
is chaal ke tasadduq ye bhī hai koī chalnā
ġhairoñ ke ghar to shab ko jaate ho bārhā tum
bhūle se mere ghar bhī ik roz aa nikalnā
haT kī kuchh intihā hai zid kī bhī koī had hai
ye baat baat par to achchhā nahīñ machalnā
jaltā hai ġhair ham se to kyā ḳhatā hamārī
tum ye samajh lo us kī taqdīr meñ hai jalnā
jab tak haiñ tere dar par dil-bastagī sī hai kuchh
ye āstāñ jo chhūTā mushkil hai jī bahalnā
dekho 'hafīz' apne jī kī jo ḳhair chāho
baste jidhar hasīñ hoñ vo rāsta na chalnā
Top Urdushayar.com