nāznīñ jin ke kuchh niyāz nahīñ
in hasīnoñ se dil ko saaz nahīñ
ġhair kā bhed kyuuñ na khul jaa.e
aap ke dil kā to vo raaz nahīñ
ik tirī zaat ke sivā zāhid
koī duniyā meñ pāk-bāz nahīñ
is meñ paatā huuñ kuchh tirī ḳhūbī
mujh ko be-vaj.h dil pe naaz nahīñ
jitne haiñ ahl-e-dard haiñ hamdard
dil vo patthar hai jo gudāz nahīñ
kah rahī hai ye sādgī kī adā
nek-o-bad meñ kuchh imtiyāz nahīñ
jubba-sā.ī butoñ ke dar kī 'hafīz'
zāhid-e-ḳhushk kī namāz nahīñ