Hafeez Jaunpuri

go ye rakhti nahin insan ki haalat achchhi

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
go ye rakhtī nahīñ insān kī hālat achchhī
phir bhī sau kaam se duniyā ke mohabbat achchhī
kyā vo achchhā hai agar sirf hai sūrat achchhī
sūrat achchhī jo ḳhudā de to ho sīrat achchhī
vasl meñ ye jo huuñ bebāk to nikle matlab
aise mauqe pe hasīnoñ kī sharārat achchhī
jis meñ shoḳhī na sharārat na karishma na adā
aise ma.ashūq se miTTī kī hai mūrat achchhī
dost un kā jo hai barbād to dushman hai ḳharāb
lutf achchhā na hasīnoñ kī adāvat achchhī
shikva vo ḳhuub hai jis se ho lagāvaT zāhir
shukr kā jis meñ ho pahlū vo shikāyat achchhī
na huī qadr muqaddar kī burā.ī se 'hafīz'
kyā huā aap ne paa.ī jo tabī.at achchhī
Top Urdushayar.com