Hafeez Jaunpuri

yahi masala hai jo zahido to mujhe kuchh isMein kalam hai

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
yahī mas.ala hai jo zāhido to mujhe kuchh is meñ kalām hai
vahī shai halāl hai ḳhuld meñ vahī mai-kade meñ harām hai
mirī aañkh meñ jo samā gayā mire dil meñ jis kā maqām hai
abhī mujh se hai vo alag-thalag na payām hai na salām hai
yahī kahnā us se payāmbar ki bas āḳhirī ye payām hai
jo zarā bhī jaane meñ der kī to kisī kā kaam tamām hai
kabhī qat.a kī mirī guftugū kabhī kah diyā mujhe kyā hai tū
ye batā tū o but-e-jañg-jū koī ye bhī tarz-e-kalām hai
koī zikr ġhair kā ye na thā jise aap sun ke hue ḳhafā
mujhe apne baḳht se hai gila mujhe apne dil se kalām hai
jo chalā to bazm-e-surūr meñ jo rahā to ālam-e-nūr meñ
mire dil meñ kaif-e-mudām hai mire sar meñ gardish-e-jām hai
vahī shikva tujh ko raqīb kā vahī ronā apne nasīb kā
ye batā tū o dil-e-mubtalā tujhe aur bhī koī kaam hai
mirā naam le ke na kosiye ye kahā to hañs ke vo bol uThe
mujhe kyā ḳhabar thī zamāne meñ faqat aap hī kā ye naam hai
mujhe kufr o diiñ se ġharaz nahīñ ki maiñ ek banda-e-ishq huuñ
koī shaiḳh ho ki ho barahman mirā duur hī se salām hai
vahī āsmān hai vahī zamīñ magar aañkh us kī jo phir ga.ī
na vo din hai ab na vo raat hai na vo sub.h hai na vo shaam hai
bahut aur māhir-e-fan haiñ yuuñ bahut aur ahl-e-suḳhan haiñ yuuñ
magar aa gayā jo pasand unheñ vo 'hafīz' hī kā kalām hai
Top Urdushayar.com