chhoḌ duuñ shahr tirā chhoḌ duuñ duniyā terī
mujh ko mālūm na thā kyā hai tamannā terī
maiñ añdhere meñ nahīñ din ke ujāle meñ luTā
ab kise DhūñDhe hai sham-e-ruḳh-e-zebā terī
jab koī pās-e-muravvat se karam kartā hai
yaad aatī hai bahut ranjish-e-be-jā terī
pai-ba-pai saath chhuTā jaatā hai ik duniyā kā
dam-ba-dam yaad chalī aatī hai goyā terī
dāman-o-dast-e-rasā baat ḳhudā-sāz to hai
nā-rasā.ī bhī mashiyyat hai ḳhudāyā terī
munhadim ho ga.ī dīvār-e-dil-e-dīvāna
merī qismat meñ thī tasvīr-e-shikasta terī
tār-tār-e-nafas-e-jāñ meñ tirā naġhma hai
pairahan meñ hai abhī bū-e-shanāsā terī
ġhazal-e-'shāz' hai sadqa tirī ra.anā.ī kā
rag-e-har-sher meñ hai mauj-e-sarāpā terī