mizhgāñ haiñ ġhazab abrū-e-ḳhamdār ke aage
ye tiir baras paḌte haiñ talvār ke aage
ḳhair us meñ hai vaa.iz ki kabhī mai kī mazammat
karnā na kisī rind-e-ḳhush-atvār ke aage
kahnā mirī bālīñ pe ki āsār bure haiñ
kartā hai ye bāteñ koī bīmār ke aage
shikve the bahut un se shikāyat thī bahut kuchh
sab bhuul ga.e vasl kī shab pyaar ke aage
ḳhalvat meñ jo pūchho to kahūñ dil kī haqīqat
mujh se na mirā haal suno chaar ke aage
ā.īna abhī dekh ke ḳhud-bīñ to vo ho leñ
ḳhud ā.eñge phir tālib-e-dīdār ke aage
qārūñ kā ḳhazāna ho ki hātim kī saḳhāvat
sab kuchh hai magar kuchh nahīñ mai-ḳhvār ke aage
kyā mujh ko Darā.eñgī tirī tez nigāheñ
ye aañkh jhapaktī nahīñ talvār ke aage
dīvānoñ meñ dīvāne 'hafīz' aap haiñ varna
hushiyār se hushiyār haiñ hushiyār ke aage