Hafeez Jaunpuri

baiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
baiTh jaatā huuñ jahāñ chhāñv ghanī hotī hai
haa.e kyā chiiz ġharīb-ul-vatanī hotī hai
nahīñ marte haiñ to iizā nahīñ jhelī jaatī
aur marte haiñ to paimāñ-shikanī hotī hai
din ko ik nuur barastā hai mirī turbat par
raat ko chādar-e-mahtāb tanī hotī hai
tum bichhaḌte ho jo ab karb na ho vo kam hai
dam nikaltā hai to a.azā-shikanī hotī hai
zinda dar-gor ham aise jo haiñ marne vaale
jīte-jī un ke gale meñ kafnī hotī hai
rut badalte hī badal jaatī hai niyyat merī
jab bahār aatī hai tauba-shikanī hotī hai
ġhair ke bas meñ tumheñ sun ke ye kah uThtā huuñ
aisī taqdīr bhī allāh ġhanī hotī hai
na baḌhe baat agar khul ke kareñ vo bāteñ
bā.is-e-tūl-e-suḳhan kam-suḳhanī hotī hai
luT gayā vo tire kūche meñ dharā jis ne qadam
is tarah kī bhī kahīñ rāhzanī hotī hai
husn vāloñ ko zid aa jaa.e ḳhudā ye na kare
kar guzarte haiñ jo kuchh jī meñ Thanī hotī hai
hijr meñ zahr hai sāġhar kā lagānā muñh se
mai kī jo buuñd hai hiire kī kanī hotī hai
mai-kashoñ ko na kabhī fikr-e-kam-o-besh rahī
aise logoñ kī tabī.at bhī ġhanī hotī hai
huuk uThtī hai agar zabt-e-fuġhāñ kartā huuñ
saañs ruktī hai to barchhī kī anī hotī hai
aks kī un par nazar ā.īne pe un kī nigāh
do kamāñ-dāroñ meñ navak-faganī hotī hai
pī lo do ghūñT ki saaqī kī rahe baat 'hafīz'
saaf inkār se ḳhātir-shikanī hotī hai
Top Urdushayar.com