Hafeez Jaunpuri

munh mera ek ek takta tha

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
muñh mirā ek ek taktā thā
us kī mahfil meñ maiñ tamāshā thā
ham jo tujh se phireñ ḳhudā se phireñ
yaad hai kuchh ye qaul kis kā thā
vasl meñ bhī rahā firāq kā ġham
shaam hī se sahar kā khaTkā thā
apnī āñkhoñ kā kuchh qusūr nahīñ
husn hī dil-fareb is kā thā
fātiha paḌh rahe the vo jab tak
merī turbat par ek melā thā
nāma-bar naama jab diyā tū ne
kuchh zabānī bhī us ne pūchhā thā
ab kuchh is kā bhī e.atibār nahīñ
pahle dil par baḌā bharosā thā
vo jo ruk ruk ke pūchhte the haal
dil meñ rah rah ke dard uThtā thā
jūThā va.ada bhī ai 'hafīz' un kā
zindagī kā mirī sahārā thā
Top Urdushayar.com