batā.ūñ kyā kisī ko maiñ ki tum kyā chiiz ho kyā ho
mirī hasrat mire armān ho merī tamannā ho
mohabbat meñ qalaq ho rañj ho sadma ho iizā ho
ye sab kuchh ho koī parda-nashīñ lekin na rusvā ho
tum apne husn kī kyā bul-havas se daad pāoge
use pūchho mire dil se ki tum kyā chiiz ho kyā ho
mire dil ko na mal talvoñ se apne meñ ye Dartā huuñ
kahīñ aisā na ho us meñ koī ḳhār-e-tamannā ho
na dekhūñ kis tarah husn-e-ḳhudā-dād un hasīnoñ kā
bhalā un zāhidoñ kī tarah kaun āñkhoñ kā andhā ho
tirī tasvīr bhī hai bā.is-e-dil-bastagī lekin
use taskīn kyā ho jo tirī bātoñ pe martā ho
'hafīz' aanā huā hai phir azīmābād meñ apnā
phir agle valvale paidā hue ab dekhiye kyā ho