kahā ye kis ne ki vaade kā e'tibār na thā
vo aur baat thī jis se mujhe qarār na thā
shab-e-visāl vo kis naaz se ye kahte haiñ
hamāre hijr meñ sach-much tujhe qarār na thā
baghārtā hai jo ab shaiḳh zohd kī bāteñ
to kyā ye ahd-e-javānī meñ bāda-ḳhvār na thā
faqat thī ek ḳhamoshī mire suḳhan kā javāb
nahīñ nahīñ tujhe kahnā hazār baar na thā
ye mujh ko dekhte hī tū ne kyuuñ churā.ī aañkh
nigāh-e-lutf kā kyā maiñ ummīd-vār na thā
vahī thiiñ aish kī rāteñ vahī the lutf ke din
kisī kī yaad kisī kā jab intizār na thā
hazār shukr ki niklā vo sādiqul-iqarār
tumheñ 'hafīz' kī bātoñ kā e'tibār na thā