jaan hī jaa.e to jaa.e dard-e-dil
ik yahī hai ab davā-e-dard-e-dil
ab taḌapne meñ mazā miltā nahīñ
ho chalī jaañ āshnā-e-dard-e-dil
imtihān-e-zabt hai manzūr aaj
jis qadar chāhe satā.e dard-e-dil
bhāgtī hai duur jis se maut bhī
vo balā hai ye balā-e-dard-e-dil
rahm kab aayā kisī be-dard ko
ho chukī jab intihā-e-dard-e-dil
khā ke kuchh so rahte haiñ hirmāñ-nasīb
ek ye bhī hai davā-e-dard-e-dil
ham marīzoñ kā nahīñ mumkin ilaaj
lā-davā haiñ mubtalā-e-dard-e-dil
rahtī hai siine hī par tasvīr-e-dost
hai ye ta.avīz ik barā-e-dard-e-dil
rote rote bañdh ga.ī hichkī 'hafīz'
jab kahā kuchh mājrā-e-dard-e-dil