dil hai to tire vasl ke armān bahut haiñ
ye ghar jo salāmat hai to mehmān bahut hai
maiñ daad kā ḳhvāhāñ nahīñ ai dāvar-e-mahshar
aaj apne kiye par vo pashemān bahut haiñ
dil le ke khilaune kī tarah toḌ na Dāleñ
Dar mujh ko yahī hai ki vo nādān bahut haiñ
vo phuul chaḌhāte haiñ dabī jaatī hai turbat
ma.ashūq ke thoḌe se bhī ehsān bahut haiñ
tum ko na pasand aa.e na lo pher do mujh ko
is dil ke ḳharīdār mirī jaan bahut haiñ
DāñTā kabhī ġhamze ne kabhī naaz ne Tokā
ḳhalvat meñ bhī saath un ke nigahbān bahut haiñ
ḳhālī bhī koī dil hai vahāñ ishq-e-sanam se
kahne ko to ka.abe meñ musalmān bahut haiñ
shāyad ye asar ho merī āh-e-saharī kā
kuchh sub.h se vo aaj pareshān bahut haiñ
kyā shab ko 'hafīz' un se yahīñ vasl kī Thahrī
aaj aap ke ghar aish ke sāmān bahut haiñ