Hafeez Jaunpuri

likh de aamil koi aisa tawiz

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
likh de aamil koī aisā ta.avīz
yaar ho jaa.e gale kā ta.avīz
kab musaḳhḳhar ye hasīñ hote haiñ
sab ye be-kār hai ganDā-ta.avīz
na huā yaar kā ġhussa ThanDā
bār-hā dho ke pilāyā ta.avīz
sar se gesū kī balā jaatī hai
laa.e to radd-e-balā kā ta.avīz
mar ke bhī dil kī taḌap itnī hai
shaq huā merī lahad kā ta.avīz
har tarah hotī hai māyūsī jab
log karte haiñ duā yā ta.avīz
aarzū ḳhaak meñ dushman kī mile
is liye dafn kiyā thā ta.avīz
haath se apne jo likkhā us ne
ham ne us ḳhat ko banāyā ta.avīz
jis se aayā huā dil ruk jaa.e
koī aisā bhī hai laTkā ta.avīz
dil pasījā na kisī din un kā
roz likh likh ke jalāyā ta.avīz
kaam lo jazb-e-mohabbat se 'hafīz'
naqsh kyā chiiz hai kaisā ta.avīz
Top Urdushayar.com