but-kada nazdīk ka.aba duur thā
maiñ idhar hī rah gayā majbūr thā
shaam hī se ham kahīñ jaate the roz
muddatoñ apnā yahī dastūr thā
vo kiyā jis meñ ḳhushī thī aap kī
vo huā jo aap ko manzūr thā
kuchh adab se rah ga.e naale idhar
kyā batā.eñ arsh kitnī duur thā
jis ghaḌī thā us ke jalve kā zuhūr
arsh kā ham-sang koh-e-tūr thā
ik hasīñ kā aa gayā jo tazkira
der tak mahfil meñ zikr-e-hūr thā
vasl kī shab thī shab-e-me.arāj kyā
duur tak phailā huā ik nuur thā
har kas-o-nā-kas se kyā miltī nigāh
apnī āñkhoñ meñ but-e-maġhrūr thā
umr bhar fikr-e-suḳhan meñ thā 'hafīz'
shā.erī kā dil meñ ik nāsūr thā