Hafeez Jaunpuri

wo hasin baam par nahin aata

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
vo hasīñ baam par nahīñ aatā
chāñd apnā nazar nahīñ aatā
huuk uThtī nahīñ hai kab dil se
muñh ko kis din jigar nahīñ aatā
kaun is bekasī meñ pursāñ hai
hosh do do pahar nahīñ aatā
ye bhī sunñā thā vaa.e nākāmī
marte haiñ aur mar nahīñ aatā
thī kabhī baat baat meñ tāsīr
ab duā meñ asar nahīñ aatā
khel hai kyā mizāj-dāñ honā
kaam ye umr bhar nahīñ aatā
sādgī kā huuñ us kī dīvāna
abhī jis ko sañvar nahīñ aatā
be-ḳhudī hai ki chhā.ī jaatī hai
hosh aatā nazar nahīñ aatā
ye hasīñ aur iltijā.eñ 'hafīz'
rahm tum ko magar nahīñ aatā
Top Urdushayar.com