Hafeez Jaunpuri

kisi ko dekh kar be-KHud dil-e-kaam ho jaana

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
kisī ko dekh kar be-ḳhud dil-e-kām ho jaanā
usī ko log kahte haiñ ḳhayāl-e-ḳhām ho jaanā
mohabbat se jo pesh aa.e koī ho dost yā dushman
hameñ to har kisī kā banda-e-be-dām ho jaanā
ḳhudā jaane ki kyā hotā ma.aal apnī mohabbat kā
bahut achchhā huā āġhāz meñ anjām ho jaanā
miTānā ho agar dhabbā riyā-kārī kā ai zāhid
kisī kī bazm meñ ik din sharīk-e-jām ho jaanā
jahāñ dekho vahāñ kuchh zikr hai apnī mohabbat kā
burā hai aadmī ke vāste badnām ho jaanā
karegā raḳhna paidā koī din darbāñ kā hañgāma
qayāmat hai tire dar par hujūm-e-ām ho jaanā
'hafīz' aise musalmāñ kā bhī koī dīn-o-maz.hab hai
butoñ kī dostī meñ tārik-e-islām ho jaanā
Top Urdushayar.com