ye sab kahne kī bāteñ haiñ ki aisā ho nahīñ saktā
mohabbat meñ jo dil mil jaa.e phir kyā ho nahīñ saktā
shikāyat ho nahīñ saktī ki shikvā ho nahīñ saktā
zarā sā chheḌ de koī to phir kyā ho nahīñ saktā
burā.ī kā evaz hargiz bhalā.ī ho nahīñ saktī
burā kah kar kisī ko koī achchhā ho nahīñ saktā
hamārā un kā qissa log sunte haiñ to kahte haiñ
mazā hai hashr tak yaksū ye jhagḌā ho nahīñ saktā
kareñ terī shikāyat kyā ki tū ik dost hai apnā
kisī dushman kā bhī ham se to shikvā ho nahīñ saktā
ilāhī jazb-e-dil kī is kashish se baaz aayā maiñ
koī parda-nashīñ kahtā hai parda ho nahīñ saktā
'hafīz' un kī ġhazal hai choT khā baiThī haiñ jo dil par
baġhair is ke suḳhan meñ lutf paidā ho nahīñ saktā