Hafeez Jaunpuri

yun uTha de hamare ji se gharaz

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
yuuñ uThā de hamāre jī se ġharaz
ho na tere sivā kisī se ġharaz
vo manā.egā jis se rūThe ho
ham ko minnat se ājizī se ġharaz
ye bhī ehsān hai qanā.at kā
apnī aTkī nahīñ kisī se ġharaz
ye mahal bhī maqām-e-ibrat hai
aadmī ko ho aadmī se ġharaz
dard-mandoñ ko kyā davā se kaam
ġham-nasīboñ ko kyā ḳhushī se ġharaz
husn ārā.ishoñ kā ho muhtāj
us ko ā.īne aarsī se ġharaz
chuur haiñ nashsha-e-mohabbat meñ
mai se matlab na mai-kashī se ġharaz
der tak diid ke maze luuTe
ḳhuub niklī ye be-ḳhudī se ġharaz
be-niyāzī kī shaan hī ye nahīñ
us ko bandoñ kī bandī se ġharaz
terī ḳhātir aziiz hai varna
mujh ko dushman kī dostī se ġharaz
ham mohabbat ke bande haiñ vaa.iz
ham ko kyā bahs maz.habī se ġharaz
dair ho ka.aba ho kalīsā ho
us kī dhun us kī bandagī se ġharaz
shaiḳh ko is qadar pilāte kyuuñ
mai-kashoñ ko thī dil-lagī se ġharaz
us ko samjho na hazz-e-nafs 'hafīz'
aur hī kuchh hai shā.irī se ġharaz
Top Urdushayar.com