us ko āzādī na milne kā hameñ maqdūr hai
ham idhar majbūr haiñ aur vo idhar majbūr hai
shab ko chhup kar aa.iye aanā agar manzūr hai
aap ke ghar se hamārā ghar hī kitnī duur hai
laakh minnat kī magar ik baat bhī muñh se na kī
aap kī tasvīr bhī kitnī baḌī maġhrūr hai
is añdherī raat meñ ai shaiḳh pahchānegā kaun
band hai masjid kā dar to mai-kada kyā duur hai
ek rashk-e-ġhair kā sadma to uTh saktā nahīñ
aur jo farmā.iye sab kuchh hameñ manzūr hai
mar gayā dushman to us kā sog tum ko kyā zarūr
kaun sī ye rasm hai ye kaun sā dastūr hai
zāhid is ummīd par milnā hasīnoñ se na chhoḌ
ḳhuld meñ nādān tere hī liye kyā huur hai
hashr ke din kyā kaheñge ye agar aayā ḳhayāl
shikva karnā yaar kā pās-e-vafā se duur hai
kuchh 'hafīz' aisā nahīñ jis se ki tum vāqif na ho
aadmī vo to bahut mārūf hai mash.hūr hai