ab to nahīñ aasrā kisī kā
allāh hai apnī bekasī kā
o aañkh badal ke jaane vaale
kuchh dhyān kisī kī ājizī kā
bīmār ko dījiye tasallī
ye vaqt nahīñ jalī-kaTī kā
aapas meñ huī jo bad-gumānī
mushkil hai nibāh dostī kā
bālīñ se koī uThā ye kah kar
anjām ba-ḳhair ho kisī kā
ġham kā bhī qayām kuchh na Thahrā
ronā kyā roiye ḳhushī kā
pahuñchā hī diyā kisī galī tak
allāh-re zor be-ḳhudī kā
āḳhir ko sharāb rañg laa.ī
chhuptā nahīñ raaz mai-kashī kā
añdherā 'hafīz' ho rahā hai
bujhtā hai charāġh zindagī kā